Sathiyon kathin chunaytiyon bhare halaat ne itni gunjaish jaroor di hai, ki apse thodi meljol badhai jae. apse thodi antarang bate ki jaen. kuch apni kuch apki suni jaye. chaliye shuruat khud ke parichaye se karoon.
myself RAJ AND BY PROFFESSION, A JOURNALIST. at present working in a national daily STATIONED at BILASPUR (36 Garh). Yun to akhbar ki duniya ne kabhi itni fursat hi nahin diya ki kabhi blog likhne ke bare me sonchu. but sometimes u know, DESTINY IS decieded & WE are bound to follow that.
waise kehte bhi hain ki kabhi na kabhi to kahin se shuruat to karni hi hoti hai, chaliye ek shuruat apke nam & apke sath.
kya janna chahenge aap, last 2 dasak ke journalistic safar ke bare me bat karun ki kaise-kaise logon se pala pada. jisme kuch chapas rogi mile, jinka pura dhyan paper me apni photo dekhne tak simit raha, ya vakai samaj ya logon ke liye kuch karne ka jajba tha.
ya journey ke khatte-mithe anubhavon ke bare me baat karun. journey se yad aya, abhi corona ke daur me abhi to main badi mushkil se lockdown se picha chudakar bachchon ke paas pahuncha hoon. pure 60 dinon ke bad. lockdown announcement ke samay DELHI
se patna (bihar) HOTE hue Bilaspur (36garh) kaise aya, badi rochak dastan hai, ispar next post me bat karenge. ..............
really exciting and addictive.
ReplyDeleteAwesome ๐๐
ReplyDeletenice writeup
ReplyDeleteBadiya h raj bhai likhte raho yese hi
ReplyDelete